Eid al-Adha ki Tareekh Ahmiyat Aur Rasmain
Eid al-Adha Kahani Aur Tareekh 
Eid al-Adha, jise “Bari Eid” ya “Eid-e-Qurban” bhi kaha jata hai, Islam ka ek azeem tyohaar hai jo qurbani aur Allah ki raza ko hasil karne ka paigham deta hai. Yeh Eid har saal Zil-Hajj ke 10, 11 aur 12 tareekh ko manayi jati hai aur is din musalmaan jaanwaron ki qurbani dete hain, jo Hazrat Ibrahim (A.S) ki azeem qurbani ki yaad mein ada ki jati hai.
Eid-al-Adha Ki Tareekh Aur Pas-e-Manzar
Eid-ul-Adha ka ta’aluq Hazrat Ibrahim (A.S) aur unke beta Hazrat Ismail (A.S) ki kahani se hai. Quran-e-Majeed mein zikr hai ke Allah Ta’ala ne Hazrat Ibrahim (A.S) ka imtihan lene ke liye unse kaha ke woh apne sab se pyaare cheez Allah ki rah mein qurban karein. Hazrat Ibrahim (A.S) ek azeem Nabi the, unhone bina kisi shikayat ke apne beta Hazrat Ismail (A.S) ko Allah ke hukum par qurban karne ka irada kar liya.
Jab Hazrat Ibrahim (A.S) apne beta ko zibh karne lage to Allah Ta’ala ki rehmat ka izhar hua aur Hazrat Ismail (A.S) ki jagah ek doosra jaanwar, ek dumba bhej diya gaya. Yeh azeem waqia humein sabr, Allah par bharosa, aur qurbani ka asal maqsad samjhata hai.
Tab se har saal musalmaan Eid-ul-Adha par jaanwar ki qurbani dete hain, taake Allah ki raza ko hasil kar sakein aur is azeem waqia ki yaad taza rahe.
Eid-al-Adha Ki Ahmiyat
Eid-ul-Adha sirf ek tyohaar nahi, balki ek sabar, shukar aur ibadat ka din hai. Iska maqsad sirf jaanwar zibh karna nahi balki Allah ke hukum ki paabandi aur uske raaste mein apni pyaari cheez qurban karne ka jazba hai.
Rasool Allah ﷺ ne farmaya:
“Allah Ta’ala ke nazdeek Eid-ul-Adha ke din sab se afzal amal qurbani hai.” (Tirmizi)
Is se yeh baat wazeh hoti hai ke qurbani sirf ek riwayat nahi balki ek roohani amal hai jo ek musalmaan ki imaan aur ita’at ko mazid mazboot banata hai.
Eid-al-Adha Ki Rasmain Aur Aadaab
- Ghusl Aur Saaf Suthray Kapray Pehnna – Eid-ul-Adha ki namaz se pehle musalmaan safai ka khas khayal rakhte hain aur naye ya saaf sutray kapray pehante hain.
- Eid Ki Namaz Ada Karna – Musalmaan subah Fajr ke baad Eidgah ya masjid mein Eid-ul-Adha ki namaz ada karte hain. Yeh namaz do rakat hoti hai jisme takbeerat-e-tashreeq padhi jati hain.
- Qurbani Karna – Eid ki namaz ke baad Allah ki raza ke liye qurbani ki jati hai.
- Qurbani Ka Gosht Taqseem Karna – Qurbani ka gosht teen hisson mein taqseem kiya jata hai:
- Ek hissa ghar walon ke liye
- Ek hissa gareebon aur zarooratmandon ke liye
- Ek hissa rishtedaron aur doston ke liye
- Ek Doosre Ko Mubarakbad Dena – Musalmaan ek doosre se milte hain, gale mil kar Mubarakbad dete hain aur mohabbat ka izhar karte hain.
Eid-al-Adha Ka Paigham
Eid-ul-Adha sirf jaanwar zibh karne ka naam nahi, balki yeh ek azeem sabaq hai jo hamein sikhaata hai ke hum apni zindagi Allah ki raza ke mutabiq guzarain. Yeh Eid hamein dosray musalmaan bhaiyon ki madad karne, gareebon ka khayal rakhne, aur Allah ki ata ki gayi nematon ka shukr ada karne ki ta’leem deti hai.
Allah Ta’ala se dua hai ke hamein is din ki asal ruh ko samajhne aur is par amal karne ki taufeeq ata farmaye. Sabko Eid-ul-Adha Mubarak!



